May 12, 2011

Masoom - Tujhase naaraaz nahi : Lyrics

I am posting my all time favorite song...

Movie : Masoom
Singer : Anoop ghoshal


tujhase naaraaz nahi zindagi, hairaan hoon main
o hairaan hoon main
tere masoom savalon se pareshaan hoon main
o pareshaan hoon main

jeene ke liye socha hi na tha, dard sambhalane honge
muskuraoon to, muskurane ke karz utaarne honge
muskuraoon kabhi to lagata hai
jaise hontonn pe karz rakhaa hai

tujhase
naaraaz nahi zindagi, hairaan hoon main
o hairaan hoon main

tere masoom savalon se pareshaan hoon main
o pareshaan hoon main


aaj agar bhar ayi hai, boondein baras jaayengi
kal kya pata inke liye aakhen taras jayengi
jaane kahan gum kahan khoya
ek aansu chhupake rakha tha

tujhase naaraaz nahi zindagi, hairaan hoon main
o hairaan hoon main

tere masoom savalon se pareshaan hoon main
o pareshaan hoon main


zindagi tere gum ne hamain rishte naye samajhaye
mile jo hamain dhoop main mile chhaanv ke thande saaye

tujhase naaraaz nahi zindagi, hairaan hoon main
o hairaan hoon main

tere masoom savalon se pareshaan hoon main
o pareshaan hoon main


No comments:

Post a Comment